Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chali jana,
Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may Usay puri tarha se tum bhulado phir chali jana,
Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai Tum aakay ek baar inko sulado phir chali jana,
Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chali jana,
Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chali jana,
Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chali jana,
Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki Sama‘at ko talab hai wo suna do phir chali jana,
Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai Meri ye be-waja aadat chura do phir chali jana,
Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho Mujhe tum doosra unwan lado phir chali jana,
Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chali jana...
FaHaD
fahad18us@hotmail.com
Ghazal SMS
MUJHE AB ALVIDA KEHDO..
Ab wakt-e-judai hai mujhay ab alwida kah do Ab phir wo tanhai hai mujhay ab alwaida kah do
Main lakh bura tahra hon yaron ki nazar may Dil roo to raha hay magar aab alwida kah do
Meray AANSOO to meray hain meri khushian tumhari hain Mobarak tum ko yea khushian mujhay aab alwida kah do
Meray janay pay na rona mujhay tum yaad na karna May tanha tha may tanha hon mujhay aab alwida kah do
Mujhay afsoos to hoga yon sab say door janay ka Meri yadoon may tum sab ho mujhay aab alwida kah do
Kisi kay dard ki wajah kisi kay dukh ka may sabab Bano ga aab kabhi na main mujhay aab alwida kah do
Mujhay choora tha apno nay mujhay apnaya tab tonay Tera ahsan mand hon may mujhay aab alwida kah do
Meray AANSOO nahi ruktay mujhay aab dard hota hay Na mera dard barhnay do mujay aab alwida kah do
Mujhay jo piyar kartay thay mujhay jo apna kahtay thay Wohi aab door hum say hain mujhay aab alwida kahdo
Mujhay kaflay ki talab na thi mujhay manzilo ki na chah thi Mera dard mera tha humsafar mera dard meri hayat thi
Mujhay tonay chalna sikha dia mujhay manzilo ka pata dia May na chal sakon ga tere sath aab : mujhay alwidda kah do..
FaHad
fahad18us@hotmail.com
Ghazal SMS
Iss jurm-e-mohabat ki kuch tou mujhe saza de Jeeny nahi dety tou merny ki dua de Agar tujhko satata hai mere ghar ka ujala Ay jaan-e-wafa aa k charagon ko bujha de Banta hai tere iradon mea rukawat Raasty ka mein hoon patthar tu thookar se hata de Haan tujhse mohabbat hai sirf tujhse mohabbat Aisa b na ho k bat yeh logon ko bata de Abb mera sirf tumse hai aik taqaza Yaa bahaon mein le lay ya soli pe chahra de
The Broken Heart Guru
0321-2543547
Ghazal SMS
Kisi kali nay na dekha aankh bher k mujhe Guzer gaye jers-e-gul udas ker k mujhe Mein so raha tha kisi yad k shabistan mea jaga k chor gaye qafle saher k mujhe Mein roo raha tha mukder ki sakht rahon mea Urr ke le gaye jado teri nazr k mujhe Mein teri dard ki tanhayion mein doob dia Pukarty rahy tere ubhr ubhr k mujhe Tere firaq ki ratien kabhi na bhoolien gay Mazy mily unhi raton mein umar bher k mujhe zara si dair therne de ay Gham-E-Duniya Bula raha hai koi bam se utr k mujhe
The Broken Heart Guru
0321-2543547
Ghazal SMS
Teri baraat hogi mera janaaza hoga chaar aadmi tere sath hongey chaar aadmi mere sath honey phool tujh per bhi hongey phool mujh per bhi hongey tujh per dulhan ka joura hoga mujh per kafan ki sajawat hogi laali tere chehrey per hogi noor mere chehrey per hoga khubsurat tum bhi lag rehi hogi khubsurat mein bhi lag raha honga,
MAGER....
FERQ SIRF ITNA HOGA tum kisi ki zindagi mein jarehi hogi mein tumhari zindagi se jareha honga mera naseeb teri kismat se acha hoga mera gham teri khushi se acha hoga yakeen na aye to apni ankhoun se dekhleyna mera janaza teri baraat se acha hoga mere samney rukhsat jo teri baraat hogi us lamhey gul e sham e hayaat hogi woh bhi jaan keise aafat ki raat hogi PEHLOO MEIN KISI K MERI KAINAT HOGI...
FaHaD
fahad18us@hotmail.com
Ghazal SMS
Mere ek-ek ansoo ka hisab dena hoga Aye sangdil tujhko bhi meri tarha rona hoga
Siskiyo main lipti tanha bojhal raate Har shab tujhko bhi meri tarha tadapna hoga
Mit rahi hai zindagi lamha-lamha teri yaado main Aye-aarzoo-e-jaan ek din tujhko bhi mitna hoga
Rang layegi meri wafa ek din dekhna tu bhi Pachtawe ki aag main tujhko bhi jalna hoga
Zulmat-e-shab guzari.. tadapte sitaro ki mehfil me Lamhe-lamhe ka hisab tujhko bhi sanam dena hoga
Kitna kamzor tha tera pyar duniya ki baato me aa gaya Degi daga duniya aur sar-e-raah tujhko lutna hoga, Roz-e-mahshar mere ansuon ka hisab hoga Aye zalim tujhko uske har ansoo ka hisab dena hoga .....
FaHaD
fahad18us@hotmail.com
Ghazal SMS
Yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage Kisse kya khabar hai kahan toot jayen Mohabbat ke darya main tinke wafa ke Na jaane yeh kis morr per doob jayen
Ajab Dil ki basti ajab Dil ki vaadi Her ek morr mausam nayi Khushiyon ka Lagaye hain humne bhi sapno ke podde Magar kya bharosa yahan baarishon ka
Muradon ki manzil ke sapno main khoye Mohabbat ki raahon pe hum chal parhe the Zara door chal ke jab Aankhein khuli to Karri dhoop main hum akele kharre the
Jinhein Dil se Chaha jinhein Dil se pooja Nazar arahe hain woh hi ajnabi se Rivayat hai shayad yeh sadiyon purani Shikayat nahi hai koi Zindagi se...
FaHaD
fahad18us@hotmail.com
Ghazal SMS
Agar Mujhsey Mohabbat Hey Mujhey Sab Apney Gham De Do In Aankhoun Kaa Har Ik Aansou Mujhey, Meri Qasam De Do Agar Mujhsey Mohabbat hey ...
Tumharey Gham Ko Apna Gham Banaa Loun To Qaraar Aaye Tumhara Dard Siiney Mai Chhupaa Loun To Qaraar Aaye Vo Har Shay Jo Tumhain Dukh Dey Mujhey Merey Sanam De Do Agar Mujhsey Mohabbat hey ...
Shareek-E-Zindagi Ko Q Shareek-E-Gam Nahin Kertey Dukhoun Ko Baant Kar Q In Dukhoun Ko Kam Nahin Kertey Tadap Is Dil Ki Thodi Si Mujhey merey Sanam De Do Agar Mujhsey Mohabbat hey mujhye sarey apney gham de do ...
ALI RAZA = 03212951376
jerico_nile@hotmail.com
Ghazal SMS
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya .. Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..
Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai.. ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..
Zindagi ki musafat ke woh chand din jo guzar chuke hain.. na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya...
Bhool na chahta hoon har lamha, har waqt jo guzar gaya hai.. jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...
Guzra hua kal na tha mera, na hai mera our na ho ga kabhi... yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..
woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe... magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..
Aana paye the tum to khudaar tha main bhi yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya..
us ki muskurahat tere liye ek fareb thi .... tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya ....