|
|
|
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay
Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay
Kaash aisi koi rut koi moosam aaye khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay
Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia aik roz to aayein ** wo hum ko mananay
Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay
Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay aatay nahi loat k beetay howe zamanay |
|
Admin |
admin@eworldsms.com
|
 |
|
Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai
Mery chahat ka takaza hai mere sath raho ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai
Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon tum mere pas sey utho tu bura lagta hai
Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai
Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai |
|
Admin |
admin@eworldsms.com
|
 |
|
Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte
Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte
Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte
Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey
Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte Suno yadain sataingi magar roya nahin karte
Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte |
|
Admin |
admin@eworldsms.com
|
 |
|
Dost dushman nazar nahin atay Ab to pather bhi ghar nahin atay
Sub ko roona mera mazaq lagay Ashq aankhon main bhar nahin aatay
Baap say pocho kia guzarti hai Baitiyon k jo bur nahin aatay
Mujh say pocha yeh raat wehshat nay aaj kal aap ghar nahin aatay,
Dosti ho gaye sitaron say, Khuwab ab raat bhar nahin aatay |
|
Admin |
admin@eworldsms.com
|
 |
|
Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon zindagi main terey baray main kahan tak sochon
Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay aur main sirf paroosi k makaan tak sochon
Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon
Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon |
|
Admin |
admin@eworldsms.com
|
 |
|
Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaye begaane aap shauq se sanam Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye
Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge hum Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye |
|
Admin |
admin@eworldsms.com
|
 |
|
kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n phir khuwab agar ho jaao to kyaa
koi rang to do mere chehray ko phir zakhm agar mehkao to kyaa
ik ainaa thaa so TuuT gayaa ab Khud se agar sharmaao to kyaa
main tanhaa thaa main tanhaa huuN tum aao to kyaa na aao to kyaa
jab ham hii na mahake phir saahib tum baad-e-sabaa kahlaao to kyaa
jab dekhne waalaa koi naheen bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa
|
|
Admin |
admin@eworldsms.com
|
 |
|
|
|